Tuesday, April 1, 2014

Karna to bahut kuch chahti hu magar darti hu: Manovika soni

Manovika soni jo ki lucknow university se patrakarita kar rhi hai unse umki jindagi ke bare me kuch baatein..

Ankit srivastava
    


    :   Khali samay me ap kya karna pasand karti hai?
        mujhe purane gaano ka bahut shauk hai aur khali samay me unhe sunna bahut pasand karti hu baki mujhe doston se chatting karna movie dekhna paudhon ko paani dena aur khali samay me jyada se jyada samay paudhon k sath hi bitana pasand karti hu...

     :   purane gaaono me koi aisa gaana jo apko lagta hai apki jindagi pe kendrit ho?
         ha. mujhe lagta hai ki "jab koi baat bigad jaye jab koi mushkil a jaye" is gaane se mai kafi jud pati hu.

     :   aapka rujhan patrakarita ki taraf kaise hua?
         bachpan se hi jab tv pe ladkiyon ko news me bolte dekhti thi to bahut acha lagta tha aur log bi aisa kehte hai ki meree ander ye hunar bi hai ki mai kisi bi anjan insan se baat kar sakti hu bina hichkichai..

     :    hum kya ye keh sakte hai ki apko roj akhbar padhna aur samachaar dekhna acha lagta hai?
          nhi. Ab to aisa nhi rha ab mai ghar se kafi door rehti hu aur lko me mere paas tv bi ni hai magar ha akhbaar mai roj padhti hu aur usme mai manoranjan ke panne ko to poora padhti hu.

     :     Aj kal jaisa ki hum dekhte hai ki hum agar dukhi hote hai to social sites jaise ki facebook ka sahara lete hai is bare me apka kya kehna hai?
     :     meri rai se to ye sab ni hona chaiye magar jab ap relationship me hote ho to ap dheere dheere kar k apne sabhi doston se door hote jate hai aur apni choti se choti batein bi us khaas shaks se hi share karne lagte hai to aise me agar usse bi na bane to majbooran hume social sites ka hi sahara lena padta hai..

     :    kya ap relationship me hai aur apko kya lagta hai ki ye umra ke kis padav pe hona chaiye?
          ha. Mujhe lagta ye sab tab hona chaiye jab ap apni padhai poori kar k kahi theek tarah se set ho jaye kyuki agar apke paas paisa aur naam hoga to ye sab cheezein apki mohtaz hongi aur agar ap padhai ke dauran hi in sab cheezon me fas jayenge to kahi na kahi ye apke future k sath samjhauta hoga.....
      :   apki baaton se aisa lagta hai jaise ki ap apne rishte se bahut khush ni hai?
          ha ap keh sakte hai....
      
      :   aap ko kya lagta jis hisab se aap patrakarita me mehnat kar rhi hai ap kaha tak jayngi?
          bahut kuch karne ki chaht to hai magar ek dar bi bana hua hai ki pata ni jo mai chahti hu wo mujhe milega bi ki ni kyuki hamari caste me shadi bahut jaldi ho jaya karti hai phir bhi i hope for d bst...